Socha jab maine tanhai main,
ki aakhir kaun hun main?
barbas ek he aawaz aayi,
ek adlikhi adhuri kitaab hun main...
Panne kuch puraane se,
kisse kuch apne-parayon ke,
jode hain apni zindgani se,
haan... ek adlikhi adhuri kitaab hun main...
jab paltaye panne maine iss kitaab ke,
nam hui aankhen kabhi gham kabhi khushi k aasun se,
jarjar hui iss kitaab k panno main jaise ab bhi jaan ho,
cheekh-cheekh k kehte hain han main tera he aks hun...
han, ek adhlikhi adhuri kitaab hun main...
main ek adhlikhi adhuri kitaab hun,
anek rango ki syahi se saji hui,
kai bhavnaon k rangon main doobi hui,
jiske har adhaya main kaid hain shakhsiyat nayi-purani...
han ek adlikhi adhuiri kitaab hun main..
jiske adhure-kore panno pe,
jab firayi hain ungliyan,
ubhre hain kai khwaab adhure,
taza hue hain zakhm puraane...
main- ek adlikhi adhuri kitaab...
iss kitaab ki peeda jab janni chahi,
tab baat yahi saamne aayi,
jo mila likha ussne adhyaya apna,
khud he nischit kiya kaal apna...
badhti aayi akele,
sanjoye khud main manohar kahaniyan,
jisme main kai sawal hain adhure,
mile hai jise jawaab bhi adhure,
haan ek adhlikhi adhuri kitaab hun main.....
5 comments:
seems a nostalgic feel...bt a bid sad.
very well expressed.
adlikhi adhuri kitaab (pustak)..... tumhe purani pardo ki filmo aur natako se prerna mili hai kya??...waise sarahna karni padegi tumhare vichaaro ki..aur ati uttam prakaar se jo tumne darshaya hai apni bhawnao ko wo bhi prashansha ke yogya hai... ab aur adhik tareef ke liye meri shabdawli kaafi kamzor hai.....sankshep me yeh achcha karya hai sahitya ka.. aur achcha karya karte raho.
@mayank: thanks for appreciating.
@ shariq: koti-koti dhanyawaad aapke hamari iss rachna ki sarahna karna liye. nahi hame puraani chalchitron n natkon se koi prerna nahi mili bas apne aap se kuch panktiyan iss prakar aa gayin... aur aapki kya hamari bhi shabdawali ab jawab de gayi... dhanyawaad
Theme is Gr8....
the way its written in awesome...
but its not spellbounding like the previous ones..the reason is Hindi ko hindi font me hi likha jaye..to padne me accha lagta hai..
in eng font the fluency n the understanding is gone somewhere...
good job...
n ya i agree with jibrran
hindi ki poem hindi mein hi likha kar acchi lagti hai
Post a Comment