Wednesday, 8 April 2009

to you...


ye mujhe kya ho raha hai,
kyu beete lamhon k saaye mujhe ghere hue hain,
jo tha mere har yaadgar lamhe main,
aaj wahi dost mera mujhse yun ajnabi-sa mila...

jisne har galti pe mujhe samjhaya,
chod gaya mujhe mera wahi hamsaaya,
chod gaya woh mera he saath,
parr kya karun yaad aati hai mujhe uski har baat,
janti hun tu hai saath nahi parr bhi fir mujhe sambhalne ko peeche hai tera haath..
aaja yaar mere ki meri galti aa gayi hai mujhe yaad,
aur waada hai mera fir hogi na aisi koi baat...

mujhe samjhne ka dava kiya hai tune hamesha,
aaj kaise dost mere tu galat mujhe samajh baitha,
bahut fark hai- jo tha tu kal aur tha tu aaj..
milte toh hain apan roz magar..
parr ab woh baat, wo jazbaat ho gayen hain kahin kho,
parr mujhe yakin hain hamm layenge zindagi wapas ab bahut akele akele liye hai ro...

kya karun main jab tujhe he parwaah nahi,
janti hun tera roothna bhi bewajaah nahi...
parr jab laga ki jise mana iss dill ne khuda,
wo ho gaya mujhse khafa..
toh kya karen na gaya zara bhi raha...

mana hui thi mujhse bhi khata,
parr kaash uss samay tune bhi hota kuch kaha,
main hun ek na-samajh insaan,
kar khuda k waaste mere saath bhi insaaf...

gairon ka saath apnana mujhe bhi pasand nahi,
chahe jise bhi jitna apnaun tujhsi dost na paun...
dosti k jo lamhe hamne hain saath guzaare,
yakin hain mujhe na jayenge tujhse bisaare..
toh kyun aaj anjaan bann rahi hai tu..
tu he hai dost-yaar meri tu he hai meri rooh...