Saturday, 8 October 2011

nadaaniyan..

pyaar ki barikiyon ko samjhne ka fan ham main nahi,
rishton ki gehrayion ko jatani ki samjh ham main nahi,
hamari khamoshiyon ko wo samjh na paye,
isme unki koi khata bhi nahi..

naadan the ham jo kar baithe gunah aisa,
ki galatfehmi main he kar baithe judai ka faisla,
jab faasle ho gaye darmayan,
tab fir yaad aayin unki galiyan

yaad aaye hamein wo rangeen nazaren,
jo hamare saath ne the savare,
par beete hue pal fir aate nahi,
jaise tehniyon se bichade hue patte fir kabhi laut-te nahi..


lamhe

kuch lamhon ke rangeen nazaron main,
yun aashiyan khayalon ka buna hai,
har khwaab main maine apne he 'aks' ka deedar kiya hai,
ummedon k ek jahaan main,
 choti-si aasha ki laher hai,
milti har kiran se,
 takrati har bhawar se,
kehti khud se sada ye mushkura ke,
door bhale he ho manzil hamari
par athkheliyan ye hai jivan ki saari..

Tuesday, 4 October 2011

aks ki talaash...




Roshni main dhoonda,
to wo andheron main mila,
begano main talaasha to wo
apno main mila...
janna chaha jab maine ,
ki kyu chupta hai wo roshni-se, begano-se..
mera he "aks" hai wo,
ye mjhe batlata hai,
aur kehta hai...

" roshni main tum he mjhe jhuthlaati ho,
begano main hun par tum mjhse katraati ho,
andhere main hoti ho tab he,
tum apne "aks" ko pehchaan paati ho...
han! tanhayi main he mjhe aur apne aap ko khoj paati ho...!"